Tuesday, October 16, 2007

Subah



Subah ho gayi,
Ek naye daur ka agahz ho gaya,
Kal rat ki chandi mein humne har khwab udadiya,
Shayad abhi kisi door pariyon ke des mein kisi
Khoobsurat pari ke pas mehfoos hai,
Reh gaye hain kuch aks, thartharate apne ap se
nazar churate huye,ek pal lagta hai unhe bhi azad kar du,
hath uth bhi jata hai,
lekin muthi khul nahin pati hai,
zidh pakad leti hai,
Dhadakte huye dil ko mana nahi
Pati hoon,
Har kar who kuch khwabh sirhane
Rakh kar so jati hoon.
Ke shayad kal ki subah ek suhani shyam
Mein tabdeel ho jaye,
Aur mein inhi khwabon ki chunar hodh ke,
Dhalti dhoop se sharma jaoon,
Aas toot kar bhi barkarar rehti hai,
Ajeeb si kashish hain uske husn mein,
Harte huye insane ko tootne se thamb leti hai,
Lekin Lagta hai ki haqeekat ki thand mein abhi
woh Pighalne lagi hai,
Kuch hi pal ji rahi hai,
Zindagi ke badsurat sach mein tabdeel
Ho jayegi.
Aur phir sirf reh jayegi ek dhoondli si
Yaad,
Door kisi parion ke des mein saans leti
Mere khwabon ki,
Ek zamane mein khoobsurat mere aas ki.

Photo Credit http://www.flickr.com/photos/ladybugsleaf/50193929/