Friday, June 07, 2013

Baarish ki dastak

Dhund ki dhundlahat main dhoondhte hai hum ahat,
kisi apne ke aas paas hone ki chahat,
barish ke girte padte boonodon ki thartharahat,
apne badan ko choom ke phisal jane ki woh adat,
khushboo ek nayi subah ki lane wali woh andhi,
apne sath le ati hai kisi ki nazar ko dhoondhne ki jhunjhulahat,
darwaze par dastak jab koi deta hai,
sir se paon take jab bheeg ke kapkapata hai,
thake, huye hatoon main garam garam jalebi,
sirf tumhare sath pehli barish baatne ke liye woh safar ki kahani,
hum poochte rehte hai ki pyaar kya hai,
har barish ke mahine main woh pehli dastak uski haazri hai.