Thursday, April 18, 2013

kya ?

Aj sone ki chamak main hassi dhundi,
uske peele dano main khushi dhoondi,
Har pal jo khab dekha tha aj pura hai magar,
aj ake khab ke mayane kuch aur ho gaye magar,
har chhez ki keemat hoti hai,
aj jana ki sone ka pinjar ke mayine kya hote hai,
kal mehez mehendi ke abhushanon main jo khushi thi,
sone main taul kar kyoon nahin milti,
dekhna hai ki kya takat hai mujhmain ke har bandhan ko tod kar,
kya udh payungi,
arzoo aj bhi hai lekin,
dar lagta hai ki khaab sach hokar toot jaye toh kya karungi.