Monday, September 04, 2006

Azmayish


Chahe hum khudh ko azma ke dekhe,
Har woh cheez jo hame bandhti hai todke dekhe,
kya is jung ka koi fayda hai,jab jise jeetna hai wohi hansil nahin hai.
Har waqt jab kuch dhoondla sa yaad ata hai,ye jaroor sochte hai hum,
ki sapne tode jate hain,har jhooth ko sach bana kar dikhaya jata hai.
woh jhooth ko hum sach mante hai aur pani mein uski tasveer dhoondte hain,
woh tasveer jo boondon se ho kar jhalakti hai,aur usko dekh kar hum muskara jate hain
jal mein ek sajish hoti hai,tum pe hasne ka irada hota hai,kuch der ke liye asman dikha ke
zameen ki haqeekat bayan hoti hai.
naseeb ko karte hain khada katahare mein aur kahte hai ki tum gunehgar ho,
Aur kar bhi kya sakte hai? Aur kar bhi kya sakte hain zindagi se ladte ladte thak chuke hain,
har woh asha tumhare apne paron tale marte hue,ahiste ahiste peeghalte hue dekhte hain aur khade rahte hain khamosh,
asoon aj bhi jalak jate hain lekin na jane kahan se chupke se palkon ki khidki pe dastak deti
jati hain.

No comments: