Tuesday, September 28, 2010

sapnon ki titli

muthi khol tithli udi,
pankhon pe hazar rangon ki odhni odhi,
nazar pakade tabhi, kahin pal main meri nazar se hati,
socha tha ke uske sang oodh jaoon,
door des kahin pahunch jaoon,
bandh karke rakha thaa use,
sapnon se bandh rakha tha use,
har rang main cheepa tha ek sapna,
jagmagata jhilmilata,
kisi ek din oodh jaoon,
than rakha tha man main,
duniya bhar se ladkar,
sambhala tha use maine,
har raat jab apni muthi dil ke paas rakhti thi main,
dil dhadakta, do bol batiya usse,
un sapnon ke sach hone par,
meetha toh zaroor khilaiyo,
hawa pe sawar hokar khushiyon ki chittiyan
zaroor likhwaiyo,
har sapna jab sachai ka daman thamega,
us odhni ka ek dhaga mujhe zaroor chuwayio,
ankhen bandh karke us titli ko maine apne kareeb paya,
andheron ki garaj se apni khushi ko maine mehfooz sulaya,
aj subha thi woh jise barson se jagana chaha,
chath bar bhag ayi main,
duniya se chipte chipate,
muthi ko asman ke taraf halke se uthake,
saans ko apne aap main dabake,
halke se khol ke muthi,apne jism ko uthake,
tayar ho gayi main sapnon ke shehar udjane,
palak jhapakte hi kahin udgayi woh,
sunni muthi chod gayi woh,
koshish ki maine bahut udjane ki,
khadi reh gayi khali asman ko takti,
sapnon ki dhokebazi ko niharti,
sachai dastak deti hai jab,
dil dhadakna bandh kardeta hai tab

No comments: