Monday, June 25, 2007

Aj pyar mar gaya


Aj pyar mar gaya,
jise itne dard se kisi kone mein chipiya tha,
Aj usne mere samne dum tod diya,
ek kavi ne apni haqeekat kho di,
ek ashiq ne apni zindagi,
insaniyat ne apne jeene ki wajah kho di,
aj pyar mar gaya,
asoonoin ka mazakh aur vishwas ki dazheeyan udadi,
aj zindagi ne zinda rehne ki wajah tod di,
khoh kar bhi ehsas tha jiska,
pyar pe fakar tha uska,
aj pyar ne apne chehre se chunni faikh di,
apni badsurat shakal dikha di,
ab kya afsana aur likhe hum,
us din ko aur kya bayan kare hum,
AJ pyar mar gaya,
apko uska janaza uthane ko bulate hai hum,
uski mazhar pe ap bhi do phool chadha do,
do asoon ap bhi baha do,
kabhi wapas na ane ke liye chal diya hai woh,
badnam zindagi jine ke liye chala hai woh,
wida karo use matam karte huye,
Aj pyar mar gaya.

No comments: