Thursday, November 29, 2007

Phir


socha tha ke asoon ab sath chod denge,
lekin kal daman bheegane palkon par
dastak dene aa hi gaye,
raat ke andhere pe chupke se takiye par apna
sir rakh kar mere galon ko sehlate ched hi gaye,
unki ane ki ahat sirf mere dil ko sunayi deti
hai, yeh rab ne dua kabool ki hai,
dard seene mein uth kar so jata hai,
unki mooh dikhai per apni zindagi waar jata hai,
gumnam kisi kone se mujhe chedne aye the woh,
wapis chale gaye hai phir,
marte huye mere dil ko
zindagi de gaye hain phir,
woh na ate toh kahani kuch aur hi hoti meri,
shayad dard ke ehsas se maut dauddi chali ati
phir,

No comments: