Agar is lamhe main jiyoon to zindagi mukamal hoh,
Ek dar ki ahat main jeene ki chuski le loon,
kal ke toote peeghalte makbaron pe aj ki neev rakhoon,
ek lambi si saas loon,
aur us saas main kal ki ahat bharoon,
Main asha rakhoon, phir us asha ko aj ke seema par rakh kar landh doon,
phir koi nayi aas par dil lagayoon,
phir ek naye din main grah pravesh karu,
har kal ek nayi grihasti shuru karu,
ek naye chand ka deedar karu,
ej naya vrat rakhu,
har naye suraj ko manayu,
sitaron ki chaav main kal ka intezar karu,
mitake aj kal ek nayi kahani ke liye jagah banayun,
zindagi ke pyale ko dar aur khushi ke makhmal main mehfoos rakhne ki koshish karu.

No comments:
Post a Comment