Monday, September 09, 2013

Khabon ki kayinath

Dastak du  toh sahi, toh koi darwaza khule,
Khabon ke pankh ko hawa ki roshani mile,
Andhere ki duhai date hai kyoon,
hum tum,
jab khab ki roshani apni muthi main pakad ke chale,
hazaron khab main agar hai apni kismat main likhe,
har raat ki behram jakkad ko cheer ke jab hai nikle,
phir unmain se koi ek kyoon na janam le,
haqeekat ki godh main kyoon nahi khele,
agar ankhein bandh karke itne rangon se khelte hai hum,
kya ankhein khol kar umain se ek rang ko bhi na ujjala milein,
kitne rangon ko meeta paoge tum,
mere khabon main kayinath ke hai rang cheepe,
aj koi ek ko mitake tu khush ho le

No comments: