Wednesday, May 09, 2007

Kal Aur Aj Ki Kashmakash


Kabhi lagta hai ki zindagi aj hai,
Phir thodi der mein khyal ata hai ki kal bhi hai,
aus ki boondon mein suraj ka chamakna,
lahron ka ake phir laut jana,
do pal ki zindagi hoti hai has kar chal deti hai,
jhod jati hai aj ko jo aj ko kal ki himat dati hai,
har pal jo kal mein shamil hota hai apni hakeekat
bhoolane ki koshish karta hai,
hakeekat thak ke har jati hai apni arzu se,
zindagi ki jeene ki khwaish se,
shayad kal aj pe hawi nahin hoga kal ki arzu aj ko mita nahin degi,
dard ki pukar aj mein ghol na degi,
ehsas hai sirf khamoshi ka, andheri gheraiyon ka,
choote choote dam kyon tod rahi hai,
hame bulakar sath kyon jhod rahi hai.,
andhere ache lagte hai hai apni kokh mein hamein cheepa late hain,
janam lena jhahti hoon in andheron se,
cheer ke nikalna chahti hoon in ghehraiyon se,
phir kal se thodi si bheekh mang raha hai jeene ke liye thodi si dua mang raha hai.
khoon ka dariya ban rahi hai hakeekat,
asoonyon se bheeg raha hai daman,
kuch aur boondein baki hai girne mein,
us lal rang ko aur bhi gehra bananeki chahat mein.

PictureCouretsy :http://picasaweb.google.com/Varun.A.Kedia/Vision/

1 comment:

laughing buddha said...

nice..and thanks for stoppin by too..:):)