Sunday, August 31, 2008

Lali


Sunheri doop ki lali,
palkon par theher kar sharmati hui,
aj ke nasseeb ki kashish kal par udhar agar rakh pati,
palak jhapakte hi guzar jati hui is lali ko agar tham pati,
Thodi der ke liye sahi,
agar rukh kar hath thamti mera,
do pal hi kafi hoten uski godh mein sir rakh kar phir so jati,
waqt ka kya hai,
chal karta hai,
aj kya hai kal ka aina hai,
sone do mujhe aj nahin uthna hai,
sunheri dhoop mein akash ki chadar odhe kuch nhain sochna hai,
shyam ki dhandh jab bandan ko jhanjhalne dastak degi,
tab dhodi si lali apni muthi mein chipayi hui apni mathe pe
lagaye,
Aj ka samna karungi

No comments: